Monday, December 12, 2011

Nusrat fateh ali khan

#1. Fasle gul Hai



Fasle gul hai saja hai maikhaana
Fasle gul hai saja hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana, maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
Fasle gul hai saja hai maikhaana,chal mere dil khula hai maikhaana, maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
shaam k waqt baithnay k lyay
shaam k waqt baithnay k lyay sab se achi jaga hai maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana, maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana, maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
khat hai shayad kissi sharaabi ka
khat hai shayad kissi sharaabi ka
khat k ooper likha hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana, maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
kiss tarheh chor doon issay waaiz
kiss tarheh chor doon issay waaiz, mushkilon se mila hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana, maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
zindagi jab guzaarni hai kaheeen
zindagi jab guzaarni hai kaheen, yaar phir kia bura hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana, maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
jab se wo aankh khafa hum se
jab se wo aankh khafa hum se
yoon lagay hai khafa hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana, maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
Fasle gul hai saja hai maikhaana
chal mere dil khula hai maikhaana, maikhaana chal mere dil khula hai maikhaana
___________________________________________________________

#2.Dost kia khoob wafaoon ka sila daitay hein




Dost kia khoob wafaoon ka sila daitay hein
Her na'ay mor per ik zakhm naya daitay hien

Tum say to khair ghari bhar ki mulaqaat rahi
Loag sadiyoon ki rafaqat ko bhula daitay hein

Her na'ay mor per ik zakhm naya daitay hien
Dost kia khoob wafaoon ka sila daitay hein

Kaisay mumkin hai dhuwan bhi na ho aur dil bhi jalay
Choot parti hai to pathar bhi sada daitay hein

Her na'ay mor per ik zakhm naya daitay hien
Dost kia khoob wafaoon ka sila daitay hein

Kon hota hai museebat mein kisi ka hai dost
Aag lagti hai to pattay bhi hawa daitay hein

Her na'ay mor per ik zakhm naya daitay hien
Dost kia khoob wafaoon ka sila daitay hein

Kaisay mumkin hai dhuwan bhi na ho aru dil bhi jalay
Choot parti hai to pathar bhi sada daitay hein

Her na'ay mor per ik zakhm naya daitay hien
Dost kia khoob wafaoon ka sila daitay hein

Jin pay hota hai bohot dil ko bharosa Tabish
Waqt parnay pay wohee loag dagha daitay hein

Her na'ay mor per ik zakhm naya daitay hien
Dost kia khoob wafaoon ka sila daitay hein
_________________________________________________________________

#3.Bhuji hui shama ka dhuwaan hoon



Aaa (Sufi Chants)

Raat Yoon Dil Mein Teri Khoyi Howi Yaad Aayi
Jaise Veerane Mein Chupke Say Bahar Aaa Jaye
Jaise Sehreaon Mein Haule Se Chalay Baad-e-Nasim
Jaise Beemar Ko Be-Wajhe Qaraar Aaa Jaye

Kitne Badal Gaye Hein Wo Halaat Ki Tarah
Jab Bhi Milay Hein Pehli Mulaqat Ki Tarah
Teri Jafa Kahoon Ke Inayat Kahoon Isay
Gham Bhi Mila Mujhe Kisi Saughat Ki Tarah

Dil Mein Ghamon Ki Aag Bharakne Lagi To Hum
Roay Hein Phoot Phoot ke Basraat Ki Tarah
Hum Kya Kisi Ke Husn Ka Sadqa Utarte
Ik Zindagi Mili Woh Khairat Ki Tarah

Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon
Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai
Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon

Teri Hi Soorat Ke Daikhnay Ko
Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon
Ke Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke
Tera Tasawwar Jama Raha Hoon

Kafan Mein Khudh Ko Chupa Liya Hai
Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Na Zehmat
Naqaab Apne Liyeh Bana Ker
Hijaab Tera Utha Raha Hoon

Raga

Udhar Wo Ghar Say Nikal Pare Hein
Idhar Mera Dum Nikal Raha Hai
Ellahi Kaise Hai Yeeh Qayamat
Woh Aaa Rahe Hein Mein Ja Raha Hon

Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat
Kahaan Hai Imkaan-E-Tark-E-Ulfat
Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein
Mein Unko Jitna Bhula Raha Hoon

Woh Aa Rahe Hein Mein Ja Raha Hoon
Rooz Kehta Hoon Bohl Jaon Unhein
Rooz Yeh Baat Bhol Jata Hoon Mein
Woh Aaa Rahe Hein Mein Ja Raha Hoon

Woh Aaa Rahe Hein Mein Ja Raha Hoon
Nahi Aati To Unki Yaad Basroon Tak Nahi Aati
Magar Jab Yaad Aatay Hein To Aksar Yaad Aatay Hein
Woh Aaa Rahe Hein Mein Ja Raha Hoon

Zubaan Pe Labbaik Her Nafas Mein
Jabeen Pe Sajda Hai Her Qadam Pe
Yoon Ja Raha But-Kaday Ko Natik
Ke Jaisay Kaabe Ko Ja Raha Hoon...
_________________________________________________________________

#4. Botal khuli hai raks main jaam-e-sharab hai



Raat he mahtaab he saqi sara mosam sharab he saqi

Baaz lamhaat aise hote hain jin me pina sawab he saqi

Botal khuli he raks me jaam-e-sharab he
Wo tu khaliq he banda parwar he
Sari dunya ka Rab-e-Akbar he
Mera sarmaya-e-hayat na puch
Ek saqi he ek saagar he

Chashm-e-saqi se talab ker ka gulabi doray
Dil k zakhmo ko kahin beth ka si leta ho

Sagar-e-mae tu bari cheez he ek naimat he
Ashk b ankh me bhar aye tu p leta ho

Ae mae kasho tumhari dua kamyab he
Aise haseen waqt me pina sawab he

Saqi he chaand b he chaman he shabab he
Taskeen k saman tu mil jate hain
Kuch sahib e emaan tu mil jate hain
Saqi ye dua he tera iqbal buland
Mae khanay me insan tu mil jate hain

Honto se lagata ho tu muskati he
Taskeen her andaz se puhnchati he
Mae is liye he mujh ko haseeno se aziz
Asani se sheeshay me utar jati he

Charagh dil ka jalao buht udaas he raat
Khushi ka jashan manao buht udaas he raat
Asar ghumo ka na par jaye mae kashi pe meri
Pilao or pilao buht udaas he raat

Meri nazar ko jano ka payaam de saqi
Meri hayaat ko laafani shaam de saqi
Yeh roz roz ka jina mujhe pasand ni
Kabi na hosh me aao wo jaam de saqi

Ek zara hosh me aao tu koi baat karo
Dil ki dharkan ko sambhalo tu koi baat karo
Saqiya baat b kerne ki abi taab ni
Jaam honto se laga lo tu koi baat karo

Lehra k jhoom jhoom k la muskura k la
Phoolo k ras me chaand ki kirnain mila k la
Kehte hain k umar-e-rafta kbi lotti ni
Ja mae kaday se meri jawani utha k la

Her ghum ko dil awaiz kye deta ho
Ehsaas ki loo taiz kye deta ho
Tu zulf ko kuch or pareshaan ker de
Me jaam ko lab raiz kye deta ho

Kyun mae kaday me shaikh ji bante ho parsa
Nazren bata rahi hain k niyat kharab he
Jis se kya tha pyaar usi ne dye hain ghum
Sach puchye tu dil ka lagana azaab he

Pehlo me he raqib tumhare Khuda ki shaan
Kanta b he wahi pe jahan pe gulaab he
Kehte hain jaam bhar k wo kesi adaa k sath
pe lo humare hath se pina sawab he

Saagar he mae he door he abar e bahar he

Ae zahida tu sharab pe le na ker tu kuch ijtanab p le
Me teri mano namaz parh lo tu meri maan ab sharab p le

Adam p le Khuda ko maan pe le bari kafir ghata chayi huwi he

Me ne mana sharab pita ho ba Khuda be hisaab pita ho
Log logon ka khoon pite hain me tu phir b sharab pita ho
Zindagi ka azaab pita ho ban k khana kharab pita ho
Roz-e-mehshar hisaab ho na sake is liye be hisaab pita ho

Le k saagar me aftaab piyen ye samaj ker k he sawab piyen
Kufar he naimato ka thukrana shaikh ji aaiye sharab piyen

Zahid mujhe jannat ka talabgar na ker jo bs me tere ni wo ikrar na ker
O rindiyun pasti ni tera maslik saqi k tabarruk se tu inkaar na ker

Chaak e dil e sadqara ko si lo si lo
Kuch der tu be khudi me ji lo ji lo
Kyun Hazrat e zahid he takammul itna
Are mae khanay ki khairat he pe lo pe lo

Kis tarah ho gi bakhshish tumhari josh aye ga kese Khuda ko
Us ki rehmat pe ker k bharosa kufar he is gunah ka na kerna

Pe lo humare hath se pina sawab he
Rodad e hijr chehray pe tehrir he fana
Parh lijye khuli huwi dil ki kitab he

Botal khuli he raks me jaam e sharab he..!!
_________________________________________________________

#5. Bewafa se bhi pyaar hota hai



Udasiyan saath jo na latey to aur kya kerte
Na Jashn-e-Shola manaate to aur kya kerte

Andhera mangne aaya tha roshni ki bheek
Hum apna ghar na jalaate tou aur kya kerte

Mein ne masoom baharon mein tumhein dekha hai
In haseen Raah-Guzaaron mein tumhein dekha hai

Mere mehboob teri Parda-Nashini ki qasam
Mein ne ashkon ki qataron mein tumhein dekha hai

Jab bhi Rudaad-e-Gham sunate hein
Ashq palkon pe muskurate hein

Jin ki khaatir luta diya sub kuch
Wohi mera nishaan mita'te hein

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Qismat mein naumeedi-o-hasrat hai kya karoon
Us bewafa se mujh ko mohabbat hai kya karoon... Acha

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Yakeen-e-Ishq to dekho ke us ke wadoon per
Faraib khaye bohot phir bhi Aitebar kiya... Acha

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Main jiss ke aik isharay pe jaan waar aaya
Usay na meri mohabbat ka Aitebar aaya... Acha

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Main ker raha tha faqt tajurba mohabbat ka
Ab aise aag lagi hai bujha nahi sakta

Yeh maanta hoon ke mein tujh ko paa nahi satka
Tera khayal magar dil se ja nahi sakta... Acha

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Zulf rukh se hata ke baat karo
Raat ko din banaa ke baat karo

Yeh bhi Andaaz-e-Guftugu hai koi
Jab bhi karo dil dukha ke baat karo... Acha

Beewafa se bhi pyaar hota hai

Her aik baat pe kehte ho tum ke tu kya hai
Tumhe batao yeh Andaz-e-Auftugu kya hai

Bewafa se bhi pyaar hota hai
Yaar kuch bhi ho yaar hota hai

Raag...

Na sahay teri naseehat mere kiss kaam aaye hai
Naik o bad sujat nahi jab dil kaheen lag gaye hai... kiyoon ke

Yaar kuch bhi ho yaar hota hai

Hazrat e nah se jo aaye Deeda-o-Dil Farsh-e-Raah
Yeh to samjhao koi woh aake samjhaein ge kya... kiyoon ke

Yaar kuch bhi ho yaar hota hai

Marne walay to apni jaan se kahein
Yaar ki bewafaiyan na gayeen

Yaar kuch bhi ho yaar hota hai

Kya howa un ke saath gar hai raqeeb
Phool ke saath khaar hota hai

Ishq ke qaynaat main Nasay
Ishq Parwardigar hota hai

Ishq Parwardigar hota hai

Ayina Outha laya aur Akas sa youn bolay ka dekho
Ishq Parwardigar hota hai

Kyun Bhala dost say na Khatay bhalay
Dost per aitabar hota hai

Dost per aitabar hota hai

Jab woh aate nahi shab e waada
Mout ka intizaar hota hai

Mout ka intizaar hota hai

Ishq pe zindagi ka aay Purnam
Sara daromadaar hota hai

Bewafa se bhi pyaar hota hai
Bewafa se bhi pyaar hota hai... Aaa!
_________________________________________________________

#6. Barsoon kay intezar ka ( Waiting for years)



Barsoon Kay Intizaar Ka Anjaam Likh Dia
Kaaghaz Pay Shaam Kaat Kay Phir Shaam Likh Dia

Bikhri Pari Thi Toot Kay Kaliyaan Zameen Per
Tarteeb Day Kay Mein Nai Tera Naam Likh Dia

Aasan Nahi Thi Tark-E-Mohabbat Ki Dastaan
Jo Aanso'on Nay Aakhri Paighaam Likh Dia

Hum Ko Kisi Kay Husn Nay Sha'ir Bana Dia
Hontoon Ka Naam Lay Na Sakay Jaam Likh Dia

Allah! Zindagi Say Kahan Tak Nibhaoon Mein
Kiss Bewafa Kay Saath Mera Naam Likh Dia

Taqseem Ho Rahi Thi Khudai Ki Naimatein
Ik Ishq Bach Gaya So Mere Naam Likh Dia

Qaiser Kisi Ki Dain Hai Yeh Shairi Meri
Iski Ghazal Pay Jiss May Mera Naam Likh Dia

Barsoon Kay Intizaar Ka Anjaam Likh Dia...


(Anjaam = Conclusion)
(Tark-E-Mohabbat = To Give Up Love)
(Paigham = Message)
________________________________________________________

#7. Sanson ki mala main...



sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam (8)
apne man ki main jaanuuN aur pee ke man ki Raam (4)
Aaa ....

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam (2)

Aaa.....

yehi meri bandagi hai yehi meri pooja
sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam

Aaa.....
sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam (2)

ek ka sajan mandir maiN ek ka preetam masjid maiN
aur mein sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam (2)

papeehay oh papeehay tu yeh kiyoon aanso bahaata hai
zubaan pe teri pee pee kis liyeh reh reh ke aata hai
sadaye dard o gham kiyoon ddardmandoon ko sunata hai
jo khudhi jal raha hoon aur kiyoon us ko jalaata hai

kaatoon tori choonch paheeha raam daroon pe loon
mein pee ki aur pee mora tu pee kahay hai kaun

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam (2)Aaa ...

mein pee ki morat ko poojoon
mein pee ki suurat ko poojon

her dam... sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
Aaa... Saanson ki mala pe simruuN main pee ka naam

pe ke naam kahoon mein pujari naam pee ka
her saans mein wari simroon mein pee ka naam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
hum aur nahi kacho kaam ke matware pee ke naam ke

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam (2)Aaa ...

sajni baati kab likhoon jo preetam ho pardes
tan mein mun mein piya basay bhejon kisay sandes mein

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam

her her mein hai her basay, her her ko her hai her ki aas
her ko her her dhoond phiri, aur her hai more paas

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam (2)Aaa ...

deen dharam sub choor ke mein to pee ki dhun mein sud bud khoyi
chit jaaon gun pee pee ke gaaon aur nahi koi doja kaam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam (2)Aaa ...

sa re re ga
sa re ga re re re ga
sa pa ma ma ga ga re re re sa
sa pa ma re re re ma ga... Vocables (9:40)

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
apne mun ki mein jaanon aur pee ke mun ki raam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam (2)Aaa ...

prem ke rung mein aisee doobi, bun gaya aik hee roop
prem ki mala japte japte aap bani mei shyaam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
prem ki mala japte japte aap bani mei shyaam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam

prem ke rung mein aisee doobi (4)
aisee dobi prem ke rung mein

Aa Piya In Nainan Mein, Main Palk Dhamp Tohe Loon
Naan Mein Dekhoon Gair Ko Naan Mein Tohe Dekhan Doon
aise doobi prem ke rung mein

Kajal Daloon Karkira Jo Surma Diya Na Jaal
Jin Nainan Mein Piya Basey, Bala Doojha Koun Samaaye
aise doobi prem ke rung mein

Neel Gagan Se Bhi Pare Saiya Ji Ka Gaon
Darshan Jal Ki Kamna Pat Rakheo Ri Ram
aise doobi prem ke rung mein

Abb Kismat Ke Haath Hai Iss Bandan Ki Laaj
Maine To Mann Likh Diya Sawariya Ke Naam
aise doobi prem ke rung mein

Janey Koun Se Beiss Mein Sawarian Mil Jaye
Jhuk Jhuk Kar Sansaar Mai Sab Ko Karoon Salaam
aise doobi prem ke rung mein

Woh Chatar Hai Kamni Woh Hai Sundar Nar
Jiss Pagli Ne Kar Liya Sajan Ka Mann Ram
aise doobi prem ke rung mein

Jab Se Radha Shaam Ke Nain Hue Hain Char
Shaam Banne Hain Radhika Radha Ban Gaye Shaam
aise doobi prem ke rung mein

preetam hum tum aik hein, jo kehen sunan mein do
hum tum aik hein preetam hum tum aik hein

mun ko mun se toliyah aur to mun qubool na ho

aise doobi prem ke rung mein

preetam tumre sung hai apna raaj suhaag
tum naahi to kacho nahi tum mile to jaage bhaag

aise doobi prem ke rung mein

augan pooja paat tajay aur laga prem ka roug
preetam ka bus dheyan rahay yehi hai apna joob

aise doobi prem ke rung mein

haath churawat jaat ho, jo nirmil jaan ke mohe
hirde mein se jaawat ho tab mein jaanon tohe

aise doobi prem ke rung mein

vocables...

aise doobi prem ke rung mein (15:00)

vocables...

doobi doobi doobi aise doobi prem ke rung mein

her dam dekho mora peharwa sadarahat more ghar naahi
ander baahir aap wohi hai mein naahen mein naaheen

aise doobi prem ke rung mein

joganya ka bhes bana ke pee ko dhondan jaaon ree
nagri nagri dwaare dwaare pee ki shabad sunaon gi
taras bikhari jag mein ho ke darshan bhichya paaon gi
tan mun un per waroon pee ki joganya kehlaoon ree

aise doobi prem ke rung mein

prem ke rung mein aise dobi bun gaya aik he roop
prem ki maala japte japte aap bani mein shayaam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
prem ke rung mein aise dobi bun gaya aik he roop

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam

preetam ka kuch dosh nahi hai, wo to hai nirdosh
apne aap se baatein ker ke hoo gayi mein badnaam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
apne aap se baatein ker ke hoo gayi mein badnaam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam

prem piyala jab se piya hai, jee ka hai yeh haal
deedar pe neend aa jaye kaanton pe aaram

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam 23:00

jeevan ka sanghar hai preetam, maang ka hai sandoor
preetam ki nazroon se gir ker jeena hai kiss kaam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
preetam ki nazroon se gir ker jeena hai kiss kaam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam

vocables...

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam 27:30

sa re ga re da re sa...

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
apne man ki main jaanuuN aur pee ke man ki Raam

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
apne man ki main jaanuuN aur pee ke man ki Raam...

sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
simroon mein pee ka naam
simron mein pe ka naam

Monday, December 5, 2011

Shaitan Remix

Khoya Khoya Chand...


Hawa Hawai....Singer Suman Shridhar

Sonu Nigam

An Evening In London With Sonu Nigam Attribute to Rafi saheb

CBSO (City Of Birmingham Symphony Orchestra), Sonu's voice n Beautiful Gunjan ;) are awesome

#1. Tum Jo Mil Gaye hoo...

#2. Kya Hua Tera Waada...

#3. Main Jatt Yamala...

#4. Gulabi Aankhein...



Thursday, December 1, 2011

Rafta...Rafta...

Rafta...Rafta...By Mehdi Hsasan Saheb :



Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Pehle Jaan Phir Jaan-E-Jaan Phir Jaan-E-Jaana Ho Gaye

Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Deen-Ba-Deen Badhti Gayi Iss Husn Ki Ranaiya

Pehle Gul Phir Gulbadan Phir Gulbadama Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye

Aap Tou Nazdik Se Nazdik-Tar Aate Gaye
Pehle Dil Phir Dilruba Phir Dil Ke Mehman Ho Gaye

Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye
Pyaar Jab Haad Se Badha Saare Taqalloufh Mit Gaye

Aapse Phir Tum Houe Phir Tu Ka Unwan Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye

Pehle Jaan Phir Jaan-E-Jaan Phir Jaan-E-Jaana Ho Gaye
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saman Ho Gaye

Lyrics : Tasleem Fazli

Folks ! Now listen this beautiful song of movie Baazi which lyrics are inspired from Mehndi hassan's Rafta...Rafta...

Dheere...Dheere...Aap mere... :


Dheere dheere aappp mere
Dil ke mehmaan ho gaye
Dheere dheere aappp mere
Dil ke mehmaan ho gaye

Phele jaan phir jaaane jaan
Phir jaanejaana ho gaye

Dheere dheere aappp mere
Dil ke mehmaan ho gaye

Ho dheere dheere aappp mere
Dil ke mehmaan ho gaye

Phele jaan phir jaaane jaan
Phir jaanejaana ho gaye

Dheere dheere aappp mere
Dil ke mehmaan ho gaye

Yeh hai karam aapka
Tumne mujhe chun liye
Abb chahe kuch na kaho
Humne sab sun liye

Dheere dheere aappp mere
Dil ke mehmaan ho gaye

Phele jaan phir jaaane jaan
Phir jaanejaana ho gaye

Dheere dheere aappp mere
Dil ke mehmaan ho gaye

Pagal jaawani teri
Katil tumhari ada
Aise chada dono pe
Ashiqui ka nasha

Phele jaan phir jaaane jaan
Phir jaanejaana ho gaye

Dheere dheere aappp mere
Dil ke mehmaan ho gaye


Lyrics : Sameer